afshan chamak ke zulf-e-dota hi mein rah gai
afshāñ chamak ke zulf-e-dotā hī meñ rah ga.ī
kuchh raushnī sī ho ke siyāhī meñ rah ga.ī
samjhūñgā tujh se roz-e-qayāmat maiñ ai junūñ
gar koī baat merī tabāhī meñ rah ga.ī
aa.iiñ hazār-hā shab-e-hijrāñ meñ āfateñ
par sub.h us kī ilm-e-ilāhī meñ rah ga.ī
aa hī chukī thī us kī adā se balā magar
kuchh sharm khā ke shoḳh-nigāhī meñ rah ga.ī
'navvāb' apne dil ko maiñ kyūñ-kar nikāltā
kañghī ulajh ke zulf-e-rasā hī meñ rah ga.ī
afshan chamak ke zulf-e-dota hi mein rah gai
kuchh raushni si ho ke siyahi mein rah gai
samjhunga tujh se roz-e-qayamat main ai junun
gar koi baat meri tabahi mein rah gai
aain hazar-ha shab-e-hijran mein aafaten
par subh us ki ilm-e-ilahi mein rah gai
aa hi chuki thi us ki ada se bala magar
kuchh sharm kha ke shoKH-nigahi mein rah gai
'nawwab' apne dil ko main kyun-kar nikalta
kanghi ulajh ke zulf-e-rasa hi mein rah gai
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 53)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.