afsos hai sab hasb-o-nasab bhul rahe hain
afsos hai sab hasb-o-nasab bhuul rahe haiñ
ham log buzurgoñ kā adab bhuul rahe haiñ
ham aap kī yādoñ meñ haiñ Duube hue har dam
aur aap hameñ dekho ġhazab bhuul rahe haiñ
jis roz se dekhā hai tirī āñkhoñ ke andar
us roz se ham bazm-e-tarab bhuul rahe haiñ
masrūf haiñ ham log zamāne kī ravish meñ
kyoñ aa.e haiñ duniyā meñ sabab bhuul rahe haiñ
ġhamgīn haiñ to lab pe 'shajar' naam hai rab kā
ḳhushiyoñ meñ magar dekhiye rab bhuul rahe haiñ
afsos hai sab hasb-o-nasab bhul rahe hain
hum log buzurgon ka adab bhul rahe hain
hum aap ki yaadon mein hain Dube hue har dam
aur aap hamein dekho ghazab bhul rahe hain
jis roz se dekha hai teri aankhon ke andar
us roz se hum bazm-e-tarab bhul rahe hain
masruf hain hum log zamane ki rawish mein
kyon aae hain duniya mein sabab bhul rahe hain
ghamgin hain to lab pe 'shajar' nam hai rab ka
KHushiyon mein magar dekhiye rab bhul rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.