afsos teri yaad ne rasta nahin badla
afsos tirī yaad ne rasta nahīñ badlā
varna to mire gaañv meñ kyā kyā nahīñ badlā
jo mom kā putlā thā vo pighlā nahīñ ab tak
jo aag kā dariyā thā vo dariyā nahīñ badlā
mausam kī tarah roz badalnā nahīñ aatā
bachpan se isī vāste chehra nahīñ badlā
ab tak vo mire ḳhuun kā pyāsā hai mirā yaar
ab tak mire dushman kā vo lahja nahīñ badlā
manzil se bichhaḌ jā.eñge manzar se nikal kar
so ham ne yahī soch ke rasta nahīñ badlā
jaise tū badalne kā mujhe soch rahā thā
ab tak to mirī jaan maiñ vaisā nahīñ badlā
afsos teri yaad ne rasta nahin badla
warna to mere ganw mein kya kya nahin badla
jo mom ka putla tha wo pighla nahin ab tak
jo aag ka dariya tha wo dariya nahin badla
mausam ki tarah roz badalna nahin aata
bachpan se isi waste chehra nahin badla
ab tak wo mere KHun ka pyasa hai mera yar
ab tak mere dushman ka wo lahja nahin badla
manzil se bichhaD jaenge manzar se nikal kar
so hum ne yahi soch ke rasta nahin badla
jaise tu badalne ka mujhe soch raha tha
ab tak to meri jaan main waisa nahin badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.