afsurdagi ka rang numayan hansi mein hai
afsurdagī kā rang numāyāñ hañsī meñ hai
yā'nī ki ek ġham kī jhalak bhī ḳhushī meñ hai
mere junūn-e-shauq kī 'azmat na pūchhiye
un kī ḳhudī kī shaan mirī be-ḳhudī meñ hai
kā'ba ko dair dair ko kā'ba samajh liyā
itnā to hosh rasm-o-rah-e-‘āshiqī meñ hai
mujh ko sañbhāltā hai jo nādīda taur par
shāmil ye aaj kaun mirī bekasī meñ hai
vārafta-e-mazāq-e-ḳhudī ko kahāñ nasīb
vo kaif-e-mustaqil jo mirī be-ḳhudī meñ hai
mahsūs kar rahā huuñ kuchh aisā tire baġhair
jaise ki ik kamī sī mirī zindagī meñ hai
kyā kījiyegā ‘umr-e-abad maañg kar 'hazīñ'
jiine kā lutf zindagī-e-'ārzī meñ hai
afsurdagi ka rang numayan hansi mein hai
ya'ni ki ek gham ki jhalak bhi KHushi mein hai
mere junun-e-shauq ki 'azmat na puchhiye
un ki KHudi ki shan meri be-KHudi mein hai
ka'ba ko dair dair ko ka'ba samajh liya
itna to hosh rasm-o-rah-e-‘ashiqi mein hai
mujh ko sanbhaalta hai jo nadida taur par
shamil ye aaj kaun meri bekasi mein hai
warafta-e-mazaq-e-KHudi ko kahan nasib
wo kaif-e-mustaqil jo meri be-KHudi mein hai
mahsus kar raha hun kuchh aisa tere baghair
jaise ki ek kami si meri zindagi mein hai
kya kijiyega ‘umr-e-abad mang kar 'hazin'
jine ka lutf zindagi-e-'arzi mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.