afsurdagi mein rahna mera kaam bhi to hai
afsurdagī meñ rahnā mirā kaam bhī to hai
tarke meñ chūñki gardish-e-ayyām bhī to hai
baiTheñ zarā janāb kahāñ aap chal diye
mahfil meñ ḳhaas raat kā ik jaam bhī to hai
puurā hai ehtimām mire dil ke vāste
mahfil meñ zikr-e-yār hai aur shaam bhī to hai
zālim jo likh rahā hai yahāñ dāstān-e-zulm
is dāstān-e-zulm kā anjām bhī to hai
qaazī yahāñ pe kyoñ na rakhe zālimoñ kī laaj
qaazī ke vāste phir ik in'ām bhī to hai
duniyā meñ har burā.ī kā ḳhatma bhī saath hai
rāvan ke saath saath yahāñ raam bhī to hai
kuchh 'mīr' jī sī ho to koī baat bhī bane
varna ye shā'irī yahāñ par 'aam bhī to hai
jo kuchh bhī likh rahā huuñ maiñ nok-e-qalam se aaj
ye sab ḳhudā kī den hai ilhām bhī to hai
afsurdagi mein rahna mera kaam bhi to hai
tarke mein chunki gardish-e-ayyam bhi to hai
baiThen zara janab kahan aap chal diye
mahfil mein KHas raat ka ek jam bhi to hai
pura hai ehtimam mere dil ke waste
mahfil mein zikr-e-yar hai aur sham bhi to hai
zalim jo likh raha hai yahan dastan-e-zulm
is dastan-e-zulm ka anjam bhi to hai
qazi yahan pe kyon na rakhe zalimon ki laj
qazi ke waste phir ek in'am bhi to hai
duniya mein har burai ka KHatma bhi sath hai
rawan ke sath sath yahan ram bhi to hai
kuchh 'mir' ji si ho to koi baat bhi bane
warna ye sha'iri yahan par 'am bhi to hai
jo kuchh bhi likh raha hun main nok-e-qalam se aaj
ye sab KHuda ki den hai ilham bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.