agar aap chahen to gardan uDa den
agar aap chāheñ to gardan uḌā deñ
ye mumkin nahīñ ham qasīda sunā deñ
hameñ ġham kī tauhīn karnī nahīñ hai
jagah be-jagah kaise aañsū girā deñ
yahāñ bhuuk ro kar yahī kah rahī hai
sukūñ ke liye zahr de kar sulā deñ
makāñ ban gayā hai baḌā ḳhūb-sūrat
munāsib agar ho ise ghar banā deñ
ḳhudā maan sakte nahīñ nāḳhudā ko
bhale hī vo 'arshad' safīna Dubā deñ
agar aap chahen to gardan uDa den
ye mumkin nahin hum qasida suna den
hamein gham ki tauhin karni nahin hai
jagah be-jagah kaise aansu gira den
yahan bhuk ro kar yahi kah rahi hai
sukun ke liye zahr de kar sula den
makan ban gaya hai baDa KHub-surat
munasib agar ho ise ghar bana den
KHuda man sakte nahin naKHuda ko
bhale hi wo 'arshad' safina Duba den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.