agar arbab-e-gulshan mein wafaon ke chalan hote
agar arbab-e-gulshan mein wafaon ke chalan hote
Ishrat Jahangirpuri
MORE BYIshrat Jahangirpuri
agar arbāb-e-gulshan meñ vafāoñ ke chalan hote
shikanje meñ na phir sayyād ke ahl-e-chaman hote
masā.il kā ḳhulūs-e-dil se mil kar faisla karte
to itnī kashmakash meñ kyoñ ye shaiḳh-o-barhaman hote
kabhī hañs kar na sunte phir mirā afsāna-e-ġhamgīñ
jo tum bhī mubtalā-e-gardish-e-ranj-o-mehan hote
tumhārī bazm-e-rangīñ to nazar ko ḳhīra kartī hai
kahīñ aise meñ tum bhī is jagah jalva-fagan hote
hasīñ dhoke meñ rahbar ke jo aa jaate na ai hamdam
na ham be-ḳhānumāñ hote na ham phir be-vatan hote
tasadduq meñ ḳhush-ilhānī ke shā'ir ban ga.e varna
kahāñ mumkin thā tum vābasta-e-ahl-e-suḳhan hote
vafādārī jo apnī jurm ban jaatī na ai 'ishrat'
ġham-e-zindāñ na hotā aur na ye dār-o-rasan hote
agar arbab-e-gulshan mein wafaon ke chalan hote
shikanje mein na phir sayyaad ke ahl-e-chaman hote
masail ka KHulus-e-dil se mil kar faisla karte
to itni kashmakash mein kyon ye shaiKH-o-barhaman hote
kabhi hans kar na sunte phir mera afsana-e-ghamgin
jo tum bhi mubtala-e-gardish-e-ranj-o-mehan hote
tumhaari bazm-e-rangin to nazar ko KHira karti hai
kahin aise mein tum bhi is jagah jalwa-fagan hote
hasin dhoke mein rahbar ke jo aa jate na ai hamdam
na hum be-KHanuman hote na hum phir be-watan hote
tasadduq mein KHush-ilhani ke sha'ir ban gae warna
kahan mumkin tha tum wabasta-e-ahl-e-suKHan hote
wafadari jo apni jurm ban jati na ai 'ishrat'
gham-e-zindan na hota aur na ye dar-o-rasan hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.