agar arz-e-tamanna ko faqat lutf-e-zaban samjha
agar arz-e-tamanna ko faqat lutf-e-zaban samjha
Musavvir Karanjavi
MORE BYMusavvir Karanjavi
agar arz-e-tamannā ko faqat lutf-e-zabāñ samjhā
to phir ai sunñe vaale ḳhaak merī dāstāñ samjhā
na phūloñ kī hañsī dekhī na bulbul kī fuġhāñ samjhā
chaman kā raaz phir kis muñh se kahtā hai ki haañ samjhā
ye merī ḳhud-farebī hai ki majbūrī ḳhudā jaane
maiñ sahrā ko chaman samjhā qafas ko āshiyāñ samjhā
samā.e husn-e-gul kyā us nigāh-e-sho.ala-parvar meñ
ki jis ne barq-e-tābāñ ko charāġh-e-āshiyāñ samjhā
banā deñ phuul kāñToñ ko guloñ meñ bijliyāñ bhar deñ
chaman meñ dil-jale aise bhī haiñ ai bāġhbāñ samjhā
yahāñ kā zarra zarra āsmāñ kī chaal chaltā hai
zamīn-e-kū-e-jānāñ ko dil-e-vahshī kahāñ samjhā
kiyā ifshā-e-rāz-e-husn har tasvīr kahtī hai
ġhalat samjhā 'musavvir' ko jo tum ne rāz-dāñ samjhā
agar arz-e-tamanna ko faqat lutf-e-zaban samjha
to phir ai sunne wale KHak meri dastan samjha
na phulon ki hansi dekhi na bulbul ki fughan samjha
chaman ka raaz phir kis munh se kahta hai ki han samjha
ye meri KHud-farebi hai ki majburi KHuda jaane
main sahra ko chaman samjha qafas ko aashiyan samjha
samae husn-e-gul kya us nigah-e-shoala-parwar mein
ki jis ne barq-e-taban ko charagh-e-ashiyan samjha
bana den phul kanTon ko gulon mein bijliyan bhar den
chaman mein dil-jale aise bhi hain ai baghban samjha
yahan ka zarra zarra aasman ki chaal chalta hai
zamin-e-ku-e-jaanan ko dil-e-wahshi kahan samjha
kiya ifsha-e-raaz-e-husn har taswir kahti hai
ghalat samjha 'musawwir' ko jo tum ne raaz-dan samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.