agar badla kabhi ruKH be-ruKHi ka
agar badlā kabhī ruḳh be-ruḳhī kā
to aa.egā maza kuchh zindagī kā
mujhe barbād kar ke hañs rahe ho
liyā hai tum ne ye badlā kabhī kā
isī ummīd par ġham sah rahā huuñ
kabhī to aa.egā mauqa.a ḳhushī kā
mujhe dil se bhulānā chāhte ho
yahī hai mudda.ā dāman-kushī kā
mohabbat meñ ga.ī izzat to kyā ġham
yahāñ ye hashr hotā hai sabhī kā
kabhī hogā shagufta dil kā ġhuncha
kabhī badlegā rañg afsurdagī kā
mujhe 'afzal' Duboyā hai usī ne
jise samjhe sahārā zindagī kā
agar badla kabhi ruKH be-ruKHi ka
to aaega maza kuchh zindagi ka
mujhe barbaad kar ke hans rahe ho
liya hai tum ne ye badla kabhi ka
isi ummid par gham sah raha hun
kabhi to aaega mauqa KHushi ka
mujhe dil se bhulana chahte ho
yahi hai muddaa daman-kushi ka
mohabbat mein gai izzat to kya gham
yahan ye hashr hota hai sabhi ka
kabhi hoga shagufta dil ka ghuncha
kabhi badlega rang afsurdagi ka
mujhe 'afzal' Duboya hai usi ne
jise samjhe sahaara zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.