agar dast-e-junun masruf-e-ehsan aur ho jata
agar dast-e-junun masruf-e-ehsan aur ho jata
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
agar dast-e-junūñ masrūf-e-ehsāñ aur ho jaatā
vaqār-e-dāman-o-jaib-o-garebāñ aur ho jaatā
muqaddar se mirī vahshat kā sāmāñ aur ho jaatā
gulistāñ aur ho jaatā bayābāñ aur ho jaatā
jo ahl-e-misr dāman thaam lete husn-e-yūsuf kā
na kuchh qaidī badal jaatā na zindāñ aur ho jaatā
tabī.at bhī agar āsūda-e-tīr-e-sitam hotī
gumān-e-indimāl-e-zaḳhm-e-paikāñ aur ho jaatā
jo masjid se nikal kar aap sū-e-mai-kada aate
janāb-e-shaiḳh lutf-e-dīn-o-īmāñ aur ho jaatā
junūn-e-ishq kī takmīl imkāñ meñ agar hotī
to dāman aur ho jaatā garebāñ aur ho jaatā
Tapaktā shām-e-furqat saath ashkoñ ke lahū dil kā
ye ehsāñ terā mujh par chashm-e-giryāñ aur ho jaatā
kamī kyoñ kī bahut nazdīk thī manzil garebāñ kī
rasā kambaḳht apnā dast-e-imkāñ aur ho jaatā
bayābān-e-mohabbat meñ na hotī kashmakash itnī
agar ābād dīvānoñ se zindāñ aur ho jaatā
rag-e-gardan agar 'mas.ūd' teġh-e-kund se kaTtī
mire qātil kā mujh par bār-e-ehsāñ aur ho jaatā
agar dast-e-junun masruf-e-ehsan aur ho jata
waqar-e-daman-o-jaib-o-gareban aur ho jata
muqaddar se meri wahshat ka saman aur ho jata
gulistan aur ho jata bayaban aur ho jata
jo ahl-e-misr daman tham lete husn-e-yusuf ka
na kuchh qaidi badal jata na zindan aur ho jata
tabiat bhi agar aasuda-e-tir-e-sitam hoti
guman-e-indimal-e-zaKHm-e-paikan aur ho jata
jo masjid se nikal kar aap su-e-mai-kada aate
janab-e-shaiKH lutf-e-din-o-iman aur ho jata
junun-e-ishq ki takmil imkan mein agar hoti
to daman aur ho jata gareban aur ho jata
Tapakta sham-e-furqat sath ashkon ke lahu dil ka
ye ehsan tera mujh par chashm-e-giryan aur ho jata
kami kyon ki bahut nazdik thi manzil gareban ki
rasa kambaKHt apna dast-e-imkan aur ho jata
bayaban-e-mohabbat mein na hoti kashmakash itni
agar aabaad diwanon se zindan aur ho jata
rag-e-gardan agar 'masud' tegh-e-kund se kaTti
mere qatil ka mujh par bar-e-ehsan aur ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.