agar do ashk aankhon se gira lete to achchha tha
agar do ashk āñkhoñ se girā lete to achchhā thā
hamāre ġham bhī siine se lagā lete to achchhā thā
kahāñ farzāne sunte haiñ kahāñ dīvāne kahte haiñ
ham apne haal par aañsū bahā lete to achchhā thā
jise bhī dekhiye dil meñ usī ke chor bastā hai
zamāne kā agar ye bhed pā lete to achchhā thā
koī aisā nahīñ jo ḳhud-farebī par na martā ho
yahī daulat ham apne dil meñ pā lete to achchhā thā
nigāhoñ meñ raheñ jo ashk unheñ gauhar samajhte haiñ
agar duniyā ko is rau meñ bahā lete to achchhā thā
agar do ashk aankhon se gira lete to achchha tha
hamare gham bhi sine se laga lete to achchha tha
kahan farzane sunte hain kahan diwane kahte hain
hum apne haal par aansu baha lete to achchha tha
jise bhi dekhiye dil mein usi ke chor basta hai
zamane ka agar ye bhed pa lete to achchha tha
koi aisa nahin jo KHud-farebi par na marta ho
yahi daulat hum apne dil mein pa lete to achchha tha
nigahon mein rahen jo ashk unhen gauhar samajhte hain
agar duniya ko is rau mein baha lete to achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.