agar ek gham ko bhula diya to gham-e-digar ki talash hai
agar ek gham ko bhula diya to gham-e-digar ki talash hai
Shahid Siddiqui
MORE BYShahid Siddiqui
agar ek ġham ko bhulā diyā to ġham-e-digar kī talāsh hai
na duā ko haath uThe kabhī na mujhe asar kī talāsh hai
vahī zulmateñ vahī soz-o-dard magar asar hai judā judā
tujhe phir shikāyat-e-shām-e-ġham mujhe phir sahar kī talāsh hai
jise imtiyāz-e-safar na ho hai vahī alāmat-e-gumrahī
use kārvāñ meñ jagah na do jise rāhbar kī talāsh hai
jo diloñ ke raaz batā sake mujhe chāhiye vo shu.ūr-e-ġham
jo ufuq ke paar bhī jā sake mujhe us nazar kī talāsh hai
mirī manzileñ mire sāmne mirā zād-e-rāh mirī nazar
koī rāhzan ho ki rāhbar mujhe ham-safar kī talāsh hai
mirā zauq parda-nashīñ nahīñ mirī kā.enāt hasīñ nahīñ
tirā husn ḳhuub sahī magar mujhe ḳhūb-tar kī talāsh hai
agar ek gham ko bhula diya to gham-e-digar ki talash hai
na dua ko hath uThe kabhi na mujhe asar ki talash hai
wahi zulmaten wahi soz-o-dard magar asar hai juda juda
tujhe phir shikayat-e-sham-e-gham mujhe phir sahar ki talash hai
jise imtiyaz-e-safar na ho hai wahi alamat-e-gumrahi
use karwan mein jagah na do jise rahbar ki talash hai
jo dilon ke raaz bata sake mujhe chahiye wo shuur-e-gham
jo ufuq ke par bhi ja sake mujhe us nazar ki talash hai
meri manzilen mere samne mera zad-e-rah meri nazar
koi rahzan ho ki rahbar mujhe ham-safar ki talash hai
mera zauq parda-nashin nahin meri kaenat hasin nahin
tera husn KHub sahi magar mujhe KHub-tar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.