agar gham ki hui yun kar-farmai to kya hoga
agar ġham kī huī yuuñ kār-farmā.ī to kyā hogā
rahī hote hue bhī un ke tanhā.ī to kyā hogā
junūñ ke rāste meñ gar ḳhirad aa.ī to kyā hogā
nazar merī hī mere dil se Takrā.ī to kyā hogā
ḳhushī ġham kī nazākat ko na raas aa.ī to kyā hogā
tirī āġhosh meñ bhī ruuh ghabrā.ī to kyā hogā
mubārak hoñ tabassum ko tire ye karvaTeñ lekin
mire ashkoñ ne le lī koī añgḌā.ī to kyā hogā
nigāh-e-muztarib ko laakh Thahrā leñ to kyā hāsil
tajallī ḳhud nazar ban kar jo tharrā.ī to kyā hogā
jhukā deñ ham to sar saaqī tire gul-rang jāmoñ par
baġhāvat kī jo koī mauj ubhar aa.ī to kyā hogā
musallam zauq-e-āzādī bhī ādāb-e-asīrī bhī
qafas tak uḌ ke ḳhāk-e-āshiyāñ aa.ī to kyā hogā
guloñ kī dhaḌkaneñ to jazb kar lā.ūñgā gulshan se
kisī ġhunche kī lekin aañkh bhar aa.ī to kyā hogā
ba-sa.ī-e-ehtiyāt-e-zauq-e-nazzāra bhī mahfil meñ
'shifā' merī nazar sab ko nazar aa.ī to kyā hogā
agar gham ki hui yun kar-farmai to kya hoga
rahi hote hue bhi un ke tanhai to kya hoga
junun ke raste mein gar KHirad aai to kya hoga
nazar meri hi mere dil se Takrai to kya hoga
KHushi gham ki nazakat ko na ras aai to kya hoga
teri aaghosh mein bhi ruh ghabrai to kya hoga
mubarak hon tabassum ko tere ye karwaTen lekin
mere ashkon ne le li koi angDai to kya hoga
nigah-e-muztarib ko lakh Thahra len to kya hasil
tajalli KHud nazar ban kar jo tharrai to kya hoga
jhuka den hum to sar saqi tere gul-rang jamon par
baghawat ki jo koi mauj ubhar aai to kya hoga
musallam zauq-e-azadi bhi aadab-e-asiri bhi
qafas tak uD ke KHak-e-ashiyan aai to kya hoga
gulon ki dhaDkanen to jazb kar launga gulshan se
kisi ghunche ki lekin aankh bhar aai to kya hoga
ba-sai-e-ehtiyat-e-zauq-e-nazzara bhi mahfil mein
'shifa' meri nazar sab ko nazar aai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.