agar hai mangna mango wahan se
agar hai māñgnā māñgo vahāñ se
zamāne bhar ko miltā hai jahāñ se
koī pūchhe to itnā bāġhbāñ se
ki raunaq uḌ ga.ī kyoñ gulsitāñ se
ta.alluq hai ab un kā gulsitāñ se
jo nā-vāqif haiñ phūloñ kī zabāñ se
luTere taak meñ baiThe hue haiñ
alag ho kar na chalnā kārvāñ se
sulajhte haiñ masā.il koshishoñ se
ye hal hote nahīñ āh-o-fuġhāñ se
'sadā' ik zarra-e-ḳhākī hai lekin
pare hai us kī manzil āsmāñ se
agar hai mangna mango wahan se
zamane bhar ko milta hai jahan se
koi puchhe to itna baghban se
ki raunaq uD gai kyon gulsitan se
talluq hai ab un ka gulsitan se
jo na-waqif hain phulon ki zaban se
luTere tak mein baiThe hue hain
alag ho kar na chalna karwan se
sulajhte hain masail koshishon se
ye hal hote nahin aah-o-fughan se
'sada' ek zarra-e-KHaki hai lekin
pare hai us ki manzil aasman se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.