agar har chiz mein usne asar rakkha hua hai
agar har chiiz meñ us ne asar rakkhā huā hai
to phir ab tak mujhe kyuuñ be-hunar rakkhā huā hai
ta.alluq zindagī se muḳhtasar rakkhā huā hai
ki shānoñ par nahīñ neze pe sar rakhā huā hai
zamāne se abhī tak pūchhte haiñ us kī bāteñ
use ham ne abhī tak be-ḳhabar rakkhā huā hai
ab aisī be-samar saa.at meñ us kī yaad kaisī
ye dukh achchhe dinoñ kī aas par rakkhā huā hai
nikalnā chāhtā hai vus.at-e-sahrā meñ vahshī
baḌe jatanoñ se dil ko bāñdh kar rakkhā huā hai
sadā detā hai roz-o-shab koī aisā jazīra
jahāñ mere bhī hisse kā samar rakkhā huā hai
na jaane kaun sī manzil pe bujh jaa.eñ mirī āñkheñ
so maiñ ne ik ik ham-safar rakkhā huā hai
agar har chiz mein us ne asar rakkha hua hai
to phir ab tak mujhe kyun be-hunar rakkha hua hai
talluq zindagi se muKHtasar rakkha hua hai
ki shanon par nahin neze pe sar rakha hua hai
zamane se abhi tak puchhte hain us ki baaten
use hum ne abhi tak be-KHabar rakkha hua hai
ab aisi be-samar saat mein us ki yaad kaisi
ye dukh achchhe dinon ki aas par rakkha hua hai
nikalna chahta hai wusat-e-sahra mein wahshi
baDe jatanon se dil ko bandh kar rakkha hua hai
sada deta hai roz-o-shab koi aisa jazira
jahan mere bhi hisse ka samar rakkha hua hai
na jaane kaun si manzil pe bujh jaen meri aankhen
so main ne ek ek ham-safar rakkha hua hai
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 778)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.