agar har husn ki fitrat wafa ho
agar har husn kī fitrat vafā ho
na jaane ishq kā anjām kyā ho
tumhārī bazm meñ dil chhoḌ aa.e
hamārā bhī to koī āshnā ho
yahī me.arāj hai zauq-e-nazar kī
jo maḳhfī hai vahī jalva-numā ho
fanā se is qadar Dar kis liye hai
fanā meñ hī nihāñ shāyad baqā ho
zabān-e-ishq par taale paḌe haiñ
kisī ne jis tarah jaadū kiyā ho
safīna kis tarah Dūbegā 'raushan'
ḳhudā hī jab hamārā nāḳhudā ho
agar har husn ki fitrat wafa ho
na jaane ishq ka anjam kya ho
tumhaari bazm mein dil chhoD aae
hamara bhi to koi aashna ho
yahi mearaj hai zauq-e-nazar ki
jo maKHfi hai wahi jalwa-numa ho
fana se is qadar Dar kis liye hai
fana mein hi nihan shayad baqa ho
zaban-e-ishq par tale paDe hain
kisi ne jis tarah jadu kiya ho
safina kis tarah Dubega 'raushan'
KHuda hi jab hamara naKHuda ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.