agar ho KHauf-zada taqat-e-bayan kaisi
agar ho ḳhauf-zada tāqat-e-bayāñ kaisī
navā-e-haq na sunā.e to phir ziyāñ kaisī
uThāo harf-e-sadāqat lahū ko garm karo
jo tiir pheñk nahīñ saktī vo kamāñ kaisī
unheñ ye fikr ki merī sadā ko qaid kareñ
mujhe ye rañj ki itnī ḳhamoshiyāñ kaisī
havā ke ruḳh pe liye baiThā huuñ charāġh apnā
mire ḳhudā ne mujhe baḳhsh dī amaañ kaisī
havā chale to use kaun rok saktā hai
uThā rakhī hai ye dīvār darmiyāñ kaisī
agar ye mausam-e-gul hai to zard-rū kyuuñ hai
dil-o-nazar pe ye kaifiyyat-e-ḳhizāñ kaisī
na taar taar qabā hai na daaġh daaġh badan
mujāhidoñ ke saroñ se ga.ī azaañ kaisī
agar ho KHauf-zada taqat-e-bayan kaisi
nawa-e-haq na sunae to phir ziyan kaisi
uThao harf-e-sadaqat lahu ko garm karo
jo tir phenk nahin sakti wo kaman kaisi
unhen ye fikr ki meri sada ko qaid karen
mujhe ye ranj ki itni KHamoshiyan kaisi
hawa ke ruKH pe liye baiTha hun charagh apna
mere KHuda ne mujhe baKHsh di aman kaisi
hawa chale to use kaun rok sakta hai
uTha rakhi hai ye diwar darmiyan kaisi
agar ye mausam-e-gul hai to zard-ru kyun hai
dil-o-nazar pe ye kaifiyyat-e-KHizan kaisi
na tar tar qaba hai na dagh dagh badan
mujahidon ke saron se gai azan kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.