agar irfan-e-hasti uqda-e-mushkil nahin hota
agar irfan-e-hasti uqda-e-mushkil nahin hota
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
agar irfān-e-hastī uqda-e-mushkil nahīñ hotā
to phir insāniyat kā koī mustaqbil nahīñ hotā
junūn-e-shauq apne farz se ġhāfil nahīñ hotā
bhaTaktā hai magar āvāra-e-manzil nahīñ hotā
masā.ib ke sabab ye zindagī dushvār ho jaatī
agar lazzat-kash-e-dard-e-mohabbat dil nahīñ hotā
husūl-e-āfiyat be-ranj-o-mehnat jis kā maqsad ho
to vo insān duniyā meñ kisī qābil nahīñ hotā
junūn-e-shauq ne ye baat duniyā ko batā dī hai
ḳhirad kī jalva-farmā.ī jahāñ ho dil nahīñ hotā
ye taḳhlīqī madārij haiñ ki har-kāre-o-har-marde
vo nādāñ hai jo is tafrīq kā qaa.il nahīñ hotā
mashiyyat ko agar insān se koī alag samjhe
vo ahl-e-aql ho saktā hai ahl-e-dil nahīñ hotā
agar irfan-e-hasti uqda-e-mushkil nahin hota
to phir insaniyat ka koi mustaqbil nahin hota
junun-e-shauq apne farz se ghafil nahin hota
bhaTakta hai magar aawara-e-manzil nahin hota
masaib ke sabab ye zindagi dushwar ho jati
agar lazzat-kash-e-dard-e-mohabbat dil nahin hota
husul-e-afiyat be-ranj-o-mehnat jis ka maqsad ho
to wo insan duniya mein kisi qabil nahin hota
junun-e-shauq ne ye baat duniya ko bata di hai
KHirad ki jalwa-farmai jahan ho dil nahin hota
ye taKHliqi madarij hain ki har-kare-o-har-marde
wo nadan hai jo is tafriq ka qail nahin hota
mashiyyat ko agar insan se koi alag samjhe
wo ahl-e-aql ho sakta hai ahl-e-dil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.