agar jaana zaruri tha to chupke se chale jate
agar jaanā zarūrī thā to chupke se chale jaate
ki ik ḳhush-fahmī sī rahtī sahāre jis ke jī paate
abhī bhī vaqt lagtā hai abhī bhī fan nahīñ kāmil
agarche 'umr guzrī hai hameñ is dil ko bahlāte
raho apne hī ghar meñ tum parā.e fard ke mānind
sitam dekho taqāza hai raho is par bhī itrāte
samā'at ne Duboyā hai guloñ kī siskiyāñ sun kar
na kānoñ tak sadā aatī na aañsū aañkh tak aate
ye ‘ahd-e-kam-nigāhī hai yahāñ shikva nahīñ kaafī
kahāñ shikve shikāyat haiñ kisī patthar ko kumhlāte
agar jaana zaruri tha to chupke se chale jate
ki ek KHush-fahmi si rahti sahaare jis ke ji pate
abhi bhi waqt lagta hai abhi bhi fan nahin kaamil
agarche 'umr guzri hai hamein is dil ko bahlate
raho apne hi ghar mein tum parae fard ke manind
sitam dekho taqaza hai raho is par bhi itraate
sama'at ne Duboya hai gulon ki siskiyan sun kar
na kanon tak sada aati na aansu aankh tak aate
ye ‘ahd-e-kam-nigahi hai yahan shikwa nahin kafi
kahan shikwe shikayat hain kisi patthar ko kumhlate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.