agar junun-e-mohabbat ka aasra na mile
agar junūn-e-mohabbat kā aasrā na mile
to dil ko ġham na mile ġham ko hausla na mile
rah-e-vafā meñ agar terā naqsh-e-pā na mile
bhaTakne vaale musāfir ko rāsta na mile
agar maiñ chāhūñ kabhī aap ke sivā kuchh bhī
ḳhudā kare ki mujhe merā mudda.ā na mile
tirī talāsh meñ chal to diyā huuñ maiñ ai dost
mazā to jab hai ki apnā bhī kuchh patā na mile
marīz-e-ġham nahīñ minnat-kash-e-masīhā.ī
milā vo dard ki jis kī koī davā na mile
duā.eñ māñgte haiñ ahl-e-kārvāñ 'tal.at'
ki rāhzan koī ham-shakl-e-rahnumā na mile
agar junun-e-mohabbat ka aasra na mile
to dil ko gham na mile gham ko hausla na mile
rah-e-wafa mein agar tera naqsh-e-pa na mile
bhaTakne wale musafir ko rasta na mile
agar main chahun kabhi aap ke siwa kuchh bhi
KHuda kare ki mujhe mera muddaa na mile
teri talash mein chal to diya hun main ai dost
maza to jab hai ki apna bhi kuchh pata na mile
mariz-e-gham nahin minnat-kash-e-masihai
mila wo dard ki jis ki koi dawa na mile
duaen mangte hain ahl-e-karwan 'talat'
ki rahzan koi ham-shakl-e-rahnuma na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.