agar karen kabhi wada karen nibhane ko
agar kareñ kabhī va.ada kareñ nibhāne ko
faqat kareñ na hameñ yuuñ hī āzmāne ko
hameñ yaqīn nahīñ ab tumhārī bātoñ par
baḌā javāz koī chāhiye lubhāne ko
hamārā naam zamāne kī dil kī dhaḌkan hai
hamāre naam se āvāz do zamāne ko
jabīn-e-ḳhāk se kuchh is qadar muzayyan hai
zamāna chāhiye ab ye nishāñ miTāne ko
lahū kā naam badal kar jo rakh diyā paanī
zamāna ḳhuub baḌhā phir use bahāne ko
kisī ne jurm-e-zinā kī sazā sunā.ī to
zamāne bhar meñ lagī aag dil jalāne ko
janāb-e-'momin-e-hindī' ye vaqt-e-faisal hai
jamī hai bhiiḌ tumheñ ran meñ āzmāne ko
agar karen kabhi wada karen nibhane ko
faqat karen na hamein yun hi aazmane ko
hamein yaqin nahin ab tumhaari baaton par
baDa jawaz koi chahiye lubhane ko
hamara nam zamane ki dil ki dhaDkan hai
hamare nam se aawaz do zamane ko
jabin-e-KHak se kuchh is qadar muzayyan hai
zamana chahiye ab ye nishan miTane ko
lahu ka nam badal kar jo rakh diya pani
zamana KHub baDha phir use bahane ko
kisi ne jurm-e-zina ki saza sunai to
zamane bhar mein lagi aag dil jalane ko
janab-e-'momin-e-hindi' ye waqt-e-faisal hai
jami hai bhiD tumhein ran mein aazmane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.