agar KHamosh hun to phir mera kirdar bolega
agar ḳhāmosh huuñ to phir mirā kirdār bolegā
yaqīnan aaj kā sach kal kā har aḳhbār bolegā
jinheñ hai shauq talve chāTne kā chaaT leñ be-shak
magar duniyā kī nazroñ meñ hunar har baar bolegā
jise tā'līm hāsil jhuuT ko sach mānñe kī ho
vahī to ḳhuun ko paanī guloñ ko ḳhaar bolegā
na āñkhoñ par yaqīñ jis kā na sachchā.ī se vāqif ho
fareb-e-'aql kā bīmār bas jaykār bolegā
jahāñ sach bolne par qatl kā farmān ho jaarī
zabāñ se aa.ina kab tak vahāñ inkār bolegā
sitam itne na Dhaao log saḌkoñ par utar aa.eñ
agar aisā huā to be-zabāñ yalġhār bolegā
mirā ḳhāmosh lahja hai mirī tahzīb kā haamī
'asīm' ash'ār meñ mere mirā me'yār bolegā
agar KHamosh hun to phir mera kirdar bolega
yaqinan aaj ka sach kal ka har aKHbar bolega
jinhen hai shauq talwe chaTne ka chaT len be-shak
magar duniya ki nazron mein hunar har bar bolega
jise ta'lim hasil jhuT ko sach manne ki ho
wahi to KHun ko pani gulon ko KHar bolega
na aankhon par yaqin jis ka na sachchai se waqif ho
fareb-e-'aql ka bimar bas jaykar bolega
jahan sach bolne par qatl ka farman ho jari
zaban se aaina kab tak wahan inkar bolega
sitam itne na Dhao log saDkon par utar aaen
agar aisa hua to be-zaban yalghaar bolega
mera KHamosh lahja hai meri tahzib ka hami
'asim' ash'ar mein mere mera me'yar bolega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.