agar kuchh fikr ke lamhe mayassar ho gae hote
agar kuchh fikr ke lamhe mayassar ho ga.e hote
charāġhoñ kī tarah ham bhī munavvar ho ga.e hote
agar maiñ zindagī kuchh din bhī tere saath rah letā
to duniyā ke ka.ī ehsān mujh par ho ga.e hote
tujhe paane kī ḳhvāhish meñ gañvā dī zindagī apnī
tujhe sochā agar hotā suḳhanvar ho ga.e hote
agar āsān hotā zindagī ke dukh chhupā denā
to phir ab tak ka.ī qatre samundar ho ga.e hote
kuchh aisā ḳhauf dil par ajnabī chehroñ kā thā 'nādir'
sadā detā nahīñ koī to patthar ho ga.e hote
agar kuchh fikr ke lamhe mayassar ho gae hote
charaghon ki tarah hum bhi munawwar ho gae hote
agar main zindagi kuchh din bhi tere sath rah leta
to duniya ke kai ehsan mujh par ho gae hote
tujhe pane ki KHwahish mein ganwa di zindagi apni
tujhe socha agar hota suKHanwar ho gae hote
agar aasan hota zindagi ke dukh chhupa dena
to phir ab tak kai qatre samundar ho gae hote
kuchh aisa KHauf dil par ajnabi chehron ka tha 'nadir'
sada deta nahin koi to patthar ho gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.