agar kuchh sargirani de rahi hai
agar kuchh sargirānī de rahī hai
ḳhushī bhī zindagānī de rahī hai
chalo mastī kareñ ḳhushiyāñ manā.eñ
sadā ye rut suhānī de rahī hai
buḌhāpe kī hai dastak hone vaalī
ḳhabar Dhaltī javānī de rahī hai
guzar ārām se ho paa.e itnā
kahāñ khetī kisānī de rahī hai
phaleñ phūleñ na kyoñ nafrat kī beleñ
siyāsat khād-pānī de rahī hai
sadā sachchā.ī ke raste pe chalnā
sabaq bachchoñ ko naanī de rahī hai
taḳhayyul kī hai bas parvāz ye to
jo ġhazloñ ko ravānī de rahī hai
agar kuchh sargirani de rahi hai
KHushi bhi zindagani de rahi hai
chalo masti karen KHushiyan manaen
sada ye rut suhani de rahi hai
buDhape ki hai dastak hone wali
KHabar Dhalti jawani de rahi hai
guzar aaram se ho pae itna
kahan kheti kisani de rahi hai
phalen phulen na kyon nafrat ki belen
siyasat khad-pani de rahi hai
sada sachchai ke raste pe chalna
sabaq bachchon ko nani de rahi hai
taKHayyul ki hai bas parwaz ye to
jo ghazlon ko rawani de rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.