agar main harf-e-ghalat hun to raegan kar de
agar maiñ harf-e-ġhalat huuñ to rā.egāñ kar de
maiñ jis varaq pe milūñ us kī dhajjiyāñ kar de
karam-navāz agar hai to itnī zahmat kar
mujhe zamīñ se uThā aur āsmāñ kar de
ai chārāgar vo davā DhūñDh ilm-e-hikmat meñ
jo mere sho.ala-e-ġham ko dhuāñ dhuāñ kar de
anā-parastī ke jo toḌ de gharoñdoñ ko
mujhe ḳhulūs kī vo mauj-e-be-karāñ kar de
zabān dī hai to phūloñ sī guftugū bhī de
jalā ke raakh nahīñ tū mirī zabāñ kar de
maiñ thak chukā huuñ bahut dhuup kā safar karte
duā kā maañ tū mire sar pe sā.ebāñ kar de
paḌhe zamāna baḌe shauq se mujhe 'dānish'
mire vajūd ko ik aisī dāstāñ kar de
agar main harf-e-ghalat hun to raegan kar de
main jis waraq pe milun us ki dhajjiyan kar de
karam-nawaz agar hai to itni zahmat kar
mujhe zamin se uTha aur aasman kar de
ai chaaragar wo dawa DhunDh ilm-e-hikmat mein
jo mere shoala-e-gham ko dhuan dhuan kar de
ana-parasti ke jo toD de gharondon ko
mujhe KHulus ki wo mauj-e-be-karan kar de
zaban di hai to phulon si guftugu bhi de
jala ke rakh nahin tu meri zaban kar de
main thak chuka hun bahut dhup ka safar karte
dua ka man tu mere sar pe saeban kar de
paDhe zamana baDe shauq se mujhe 'danish'
mere wajud ko ek aisi dastan kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.