agar main ek hasin tak ishq ko mahdud kar leta
agar maiñ ik hasīñ tak 'ishq ko mahdūd kar letā
to rāh-e-lā-makāñ apne liye masdūd kar letā
ḳhudā kā shukr dil meñ ek bhī nafrat nahīñ paalī
vagarna apnī har ḳhushbū ko maiñ bārūd kar letā
ye rang-o-nasl to āb-o-havā aur mausamoñ se haiñ
inheñ taslīm karke ḳhud ko maiñ nābūd kar letā
ye zikr-e-lazzat-e-lams-e-badan to ek parda thā
maiñ pāgal thā ki ḳhud ko jism tak mahdūd kar letā
agar main ek hasin tak 'ishq ko mahdud kar leta
to rah-e-la-makan apne liye masdud kar leta
KHuda ka shukr dil mein ek bhi nafrat nahin pali
wagarna apni har KHushbu ko main barud kar leta
ye rang-o-nasl to aab-o-hawa aur mausamon se hain
inhen taslim karke KHud ko main nabud kar leta
ye zikr-e-lazzat-e-lams-e-badan to ek parda tha
main pagal tha ki KHud ko jism tak mahdud kar leta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.