agar main waqt se pahle baDa nahin hota
agar maiñ vaqt se pahle baḌā nahīñ hotā
to aisā haal bhī merā huā nahīñ hotā
agar vo aadmī zid par aḌā nahīñ hotā
to aaj jaan se apnī gayā nahīñ hotā
ki jāntā huuñ use us se bhī ziyāda maiñ
mujhe ḳhabar hai use jo patā nahīñ hotā
mire baḌoñ ne sikhāyā mujhe ye bachpan meñ
baḌā jo kahtā ho ḳhud ko baḌā nahīñ hotā
sabaq jo miltā hai ham ko har ek Thokar se
kisī kitāb meñ ye sab likhā nahīñ hotā
kare jo pīchhe burā.ī burā hai shaḳhs vahī
burā.ī muñh pe kare jo burā nahīñ hotā
vo āstīñ meñ tumheñ 'umr-bhar makīñ rakhtā
jo is tarah se na 'mas'ūd' ko Dasā hotā
agar main waqt se pahle baDa nahin hota
to aisa haal bhi mera hua nahin hota
agar wo aadmi zid par aDa nahin hota
to aaj jaan se apni gaya nahin hota
ki jaanta hun use us se bhi ziyaada main
mujhe KHabar hai use jo pata nahin hota
mere baDon ne sikhaya mujhe ye bachpan mein
baDa jo kahta ho KHud ko baDa nahin hota
sabaq jo milta hai hum ko har ek Thokar se
kisi kitab mein ye sab likha nahin hota
kare jo pichhe burai bura hai shaKHs wahi
burai munh pe kare jo bura nahin hota
wo aastin mein tumhein 'umr-bhar makin rakhta
jo is tarah se na 'mas'ud' ko Dasa hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.