agar mujhse meri kuchh aatish-e-gham kam nahin hoti
agar mujhse meri kuchh aatish-e-gham kam nahin hoti
Basheeruddin Raaz
MORE BYBasheeruddin Raaz
agar mujh se mirī kuchh ātish-e-ġham kam nahīñ hotī
koī tadbīr tujh se bhī to chashm-e-nam nahīñ hotī
burā ho sozish-e-dil kā burā ho soz-e-furqat kā
lagī hai aag vo dil meñ kabhī jo kam nahīñ hotī
tasavvur ho kisī kā dil meñ yā rāteñ judā.ī kī
ḳhalish terī kabhī ai soz-e-furqat kam nahīñ hotī
but-e-kāfir-adā tujh se tirī tasvīr achchhī hai
mirī rūdād-e-ġham sun kar kabhī barham nahīñ hotī
chaleñ bād-e-ḳhizāñ ke rāt-din jhoñke gulistāñ meñ
mohabbat vo kalī hai jis kī ḳhushbū kam nahīñ hotī
karūñ to kyā karūñ tadbīr maiñ is soz-e-furqat kī
bujhāne par bhī merī ātish-e-ġham kam nahīñ hotī
taḌapnā dekhtī rahtī hai merā 'rāz' furqat meñ
shab-e-ġham tū bhī qismat se mirī hamdam nahīñ hotī
agar mujh se meri kuchh aatish-e-gham kam nahin hoti
koi tadbir tujh se bhi to chashm-e-nam nahin hoti
bura ho sozish-e-dil ka bura ho soz-e-furqat ka
lagi hai aag wo dil mein kabhi jo kam nahin hoti
tasawwur ho kisi ka dil mein ya raaten judai ki
KHalish teri kabhi ai soz-e-furqat kam nahin hoti
but-e-kafir-ada tujh se teri taswir achchhi hai
meri rudad-e-gham sun kar kabhi barham nahin hoti
chalen baad-e-KHizan ke raat-din jhonke gulistan mein
mohabbat wo kali hai jis ki KHushbu kam nahin hoti
karun to kya karun tadbir main is soz-e-furqat ki
bujhane par bhi meri aatish-e-gham kam nahin hoti
taDapna dekhti rahti hai mera 'raaz' furqat mein
shab-e-gham tu bhi qismat se meri hamdam nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.