agar roun to meri aankh aksar nam nahin hoti
agar ro.uuñ to merī aañkh aksar nam nahīñ hotī
agar hañsne lagūñ phir bhī udāsī kam nahīñ hotī
kabhī yādeñ mahaktī haiñ sitāre raqs karte haiñ
shab-e-hijrāñ hamesha hī dalī-e-ġham nahīñ hotī
maiñ dekhūñgī zarā fursat se apne aks-e-ḳhākī ko
abhī terī ziyā hī aañkh meñ hamdam nahīñ hotī
baḌī lambī masāfat hai hadīs-e-dil hai ik misra
azīzo shā.irī hargiz kabhī yak dam nahīñ hotī
bhalā kaise samajhtī ishq meñ jaañ se guzarne ko
tirī chāhat meñ jo dar-pesh rāh-e-ḳham nahīñ hotī
pukārūñ to chale aanā pakaḌ kar yaad kī Dorī
mohabbat meñ to majbūrī mire hamdam nahīñ hotī
ye dil ab rakh diyā hai vaqt kī Thokar pe ai 'sīmā'
ki is kambaḳht dil kī aarzū hī kam nahīñ hotī
agar roun to meri aankh aksar nam nahin hoti
agar hansne lagun phir bhi udasi kam nahin hoti
kabhi yaaden mahakti hain sitare raqs karte hain
shab-e-hijran hamesha hi dali-e-gham nahin hoti
main dekhungi zara fursat se apne aks-e-KHaki ko
abhi teri ziya hi aankh mein hamdam nahin hoti
baDi lambi masafat hai hadis-e-dil hai ek misra
azizo shairi hargiz kabhi yak dam nahin hoti
bhala kaise samajhti ishq mein jaan se guzarne ko
teri chahat mein jo dar-pesh rah-e-KHam nahin hoti
pukarun to chale aana pakaD kar yaad ki Dori
mohabbat mein to majburi mere hamdam nahin hoti
ye dil ab rakh diya hai waqt ki Thokar pe ai 'sima'
ki is kambaKHt dil ki aarzu hi kam nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.