agar sab sach ke matwale hue hain
agar sab sach ke matvāle hue haiñ
zabāñ par qufl kyoñ Daale hue haiñ
sunā hai choriyāñ ho jā.eñgī band
ki ab rahzan hī rakhvāle hue haiñ
ġhubār-ālūd hai fasl-e-bahārāñ
gul-e-ḳhush-rang maTiyāle hue haiñ
ik an-jānā sā Dar hai dil pe taarī
ki dushman ab to ghar vaale hue haiñ
saroñ kī hai zarūrat vaqt ko phir
buland har samt se bhāle hue haiñ
pahāḌ apnī jagah qaa.em haiñ ab tak
qayāmat ko abhī Taale hue haiñ
mujhe bhī ho bashārat manziloñ kī
mire paañv meñ bhī chhāle hue haiñ
javāz-e-ḳhauf kyā ho ab 'tasavvur'
inhī hālāt ke paale hue haiñ
agar sab sach ke matwale hue hain
zaban par qufl kyon Dale hue hain
suna hai choriyan ho jaengi band
ki ab rahzan hi rakhwale hue hain
ghubar-alud hai fasl-e-bahaaran
gul-e-KHush-rang maTiyale hue hain
ek an-jaana sa Dar hai dil pe tari
ki dushman ab to ghar wale hue hain
saron ki hai zarurat waqt ko phir
buland har samt se bhaale hue hain
pahaD apni jagah qaem hain ab tak
qayamat ko abhi Tale hue hain
mujhe bhi ho bashaarat manzilon ki
mere panw mein bhi chhaale hue hain
jawaz-e-KHauf kya ho ab 'tasawwur'
inhi haalat ke pale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.