agar sajdon mein soz-e-dil nahin hai
agar sajdoñ meñ soz-e-dil nahīñ hai
ibādat kā koī hāsil nahīñ hai
bhaTakne se bhī kuchh hāsil nahīñ hai
safar kī jab koī manzil nahīñ hai
zabān-e-hāl se kahtī haiñ lāsheñ
mohabbat kā koī qaa.il nahīñ hai
asar jis par na ho āh-o-fuġhāñ kā
vo sach-much pyaar ke qābil nahīñ hai
yaqīnan vo yahīñ hogā kahīñ par
mirā dil gum-shuda file nahīñ hai
mirī āñkheñ haiñ maazī kā havāla
mire ḳhvāboñ meñ mustaqbil nahīñ hai
hamāre daur meñ shāyad vafā bhī
nisāb-e-ishq meñ dāḳhil nahīñ hai
koī ifrīt guzrā hai idhar se
yahāñ lāsheñ to haiñ qātil nahīñ hai
garebāñ chaak hai yaañ har kisī kā
mah-e-kāmil bhī ab kāmil nahīñ hai
koī aayā nahīñ mujh ko bachāne
mujhe lagtā hai ye sāhil nahīñ hai
jise tardīd karne kī ho aadat
vo qaa.il ho ke bhī qaa.il nahīñ hai
kisī par to yaqīñ karnā paḌegā
yahāñ har shaḳhs to bātil nahīñ hai
'suhaib' is bevafā kā kyā kareñ ham
hamārā dil hamārā dil nahīñ hai
agar sajdon mein soz-e-dil nahin hai
ibaadat ka koi hasil nahin hai
bhaTakne se bhi kuchh hasil nahin hai
safar ki jab koi manzil nahin hai
zaban-e-haal se kahti hain lashen
mohabbat ka koi qail nahin hai
asar jis par na ho aah-o-fughan ka
wo sach-much pyar ke qabil nahin hai
yaqinan wo yahin hoga kahin par
mera dil gum-shuda file nahin hai
meri aankhen hain mazi ka hawala
mere KHwabon mein mustaqbil nahin hai
hamare daur mein shayad wafa bhi
nisab-e-ishq mein daKHil nahin hai
koi ifrit guzra hai idhar se
yahan lashen to hain qatil nahin hai
gareban chaak hai yan har kisi ka
mah-e-kaamil bhi ab kaamil nahin hai
koi aaya nahin mujh ko bachane
mujhe lagta hai ye sahil nahin hai
jise tardid karne ki ho aadat
wo qail ho ke bhi qail nahin hai
kisi par to yaqin karna paDega
yahan har shaKHs to baatil nahin hai
'suhaib' is bewafa ka kya karen hum
hamara dil hamara dil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.