agar salamat raha tasawwur to bagh-e-dil pur-bahaar hoga
agar salamat raha tasawwur to bagh-e-dil pur-bahaar hoga
Faizi Nizam Puri
MORE BYFaizi Nizam Puri
agar salāmat rahā tasavvur to bāġh-e-dil pur-bahār hogā
nafas meñ yād-e-habīb hogī nazar meñ dīdār-e-yār hogā
nazar nazar se mile to dam-bhar kahāñ sukūn-o-qarār hogā
na dil pe kuchh iḳhtiyār hogā na vaqt kā intizār hogā
riyāz-e-hastī meñ ishq hī se faroġh-e-husn-e-bahār hogā
nazar nazar tābdār hogī nafas nafas yādgār hogā
zamīr-e-insāñ ke aa.ine kī hai kyā haqīqat na pūchiyegā
nazar meñ hirs-o-havā milegī havas kā dil meñ ġhubār hogā
na ruk ġhamoñ se na Dar jafā se kaThin Dagar hai to ho balā se
agar tirā shauq hai salāmat har ik qadam kāmgār hogā
hasīn sāthī hasīn rahbar hasīn rāheñ hasīn manzil
bahar-qadam jannat-e-nazar hai safar bahut ḳhush-gavār hogā
tirī nazar kī navāzisheñ haiñ ki mast-o-be-ḳhud paḌe hue haiñ
kise ḳhabar thī ki aaj apnā bhī mai-kashoñ meñ shumār hogā
ġham-e-mohabbat jo dekhnā hai to mere ash.ār paḌh ke dekho
milegī tasvīr har suḳhan meñ ḳhayāl ā.īna-dār hogā
pilā.e jā sāqī-e-mohabbat vo aur hī haiñ vo maiñ nahīñ huuñ
jo muntazir hoñge fasl-e-gul ke jinheñ ḳhayāl-e-bahār hogā
jalā tū de sham-e-ārzū ko kiye tū jā bazm-e-dil ko raushan
agar mohabbat meñ hai sadāqat zarūr tū kāmgār hogā
jinheñ tamannā-e-dīd hogī unheñ ye muzhda sunā do 'faizī'
nazar se apnī naqāb ulaT do nasīb dīdār-e-yār hogā
agar salamat raha tasawwur to bagh-e-dil pur-bahaar hoga
nafas mein yaad-e-habib hogi nazar mein didar-e-yar hoga
nazar nazar se mile to dam-bhar kahan sukun-o-qarar hoga
na dil pe kuchh iKHtiyar hoga na waqt ka intizar hoga
riyaz-e-hasti mein ishq hi se farogh-e-husn-e-bahaar hoga
nazar nazar tabdar hogi nafas nafas yaadgar hoga
zamir-e-insan ke aaine ki hai kya haqiqat na puchiyega
nazar mein hirs-o-hawa milegi hawas ka dil mein ghubar hoga
na ruk ghamon se na Dar jafa se kaThin Dagar hai to ho bala se
agar tera shauq hai salamat har ek qadam kaamgar hoga
hasin sathi hasin rahbar hasin rahen hasin manzil
bahar-qadam jannat-e-nazar hai safar bahut KHush-gawar hoga
teri nazar ki nawazishen hain ki mast-o-be-KHud paDe hue hain
kise KHabar thi ki aaj apna bhi mai-kashon mein shumar hoga
gham-e-mohabbat jo dekhna hai to mere ashaar paDh ke dekho
milegi taswir har suKHan mein KHayal aaina-dar hoga
pilae ja saqi-e-mohabbat wo aur hi hain wo main nahin hun
jo muntazir honge fasl-e-gul ke jinhen KHayal-e-bahaar hoga
jala tu de sham-e-arzu ko kiye tu ja bazm-e-dil ko raushan
agar mohabbat mein hai sadaqat zarur tu kaamgar hoga
jinhen tamanna-e-did hogi unhen ye muzhda suna do 'faizi'
nazar se apni naqab ulaT do nasib didar-e-yar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.