agar sune to kisi ko yaqin nahin aae
agar sune to kisī ko yaqīñ nahīñ aa.e
makāñ bulāte rahe aur makīñ nahīñ aa.e
vo chand lafz jo kuchh bhī nahīñ sivā sach ke
vo chand lafz bayāñ meñ kahīñ nahīñ aa.e
to kyā huā jo ye tan mil rahe haiñ miTTī meñ
abhī vo ḳhvāb to zer-e-zamīñ nahīñ aa.e
abhī se naaz na kar itnā ḳhush-libāsī par
abhī to bazm meñ vo nukta-chīñ nahīñ aa.e
kisī kī aañkh meñ raushan haiñ jaisī ta.abīreñ
idhar to ḳhvāb bhī itne hasīñ nahīñ aa.e
agar sune to kisi ko yaqin nahin aae
makan bulate rahe aur makin nahin aae
wo chand lafz jo kuchh bhi nahin siwa sach ke
wo chand lafz bayan mein kahin nahin aae
to kya hua jo ye tan mil rahe hain miTTi mein
abhi wo KHwab to zer-e-zamin nahin aae
abhi se naz na kar itna KHush-libasi par
abhi to bazm mein wo nukta-chin nahin aae
kisi ki aankh mein raushan hain jaisi tabiren
idhar to KHwab bhi itne hasin nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.