agar tark-e-talluq kar bhi lete hum to kya hota
agar tark-e-ta.alluq kar bhī lete ham to kyā hotā
kahāñ mumkin ki dil qaid-e-mohabbat se rihā hotā
chalo achchhā huā tum ne bhī āḳhir dushmanī kar lī
kahāñ tak tum se āḳhir dostī kā haq adā hotā
ġhanīmat hai ye dil jaisā bhī hai raunaq hai hastī kī
añdherā chhā gayā hotā agar dil bujh gayā hotā
mujhe sāhil pe pahuñchāyā mirī ḳhud e'timādī ne
ye kashtī Duub jaatī saath meñ gar nāḳhudā hotā
mubārak ho tumheñ jashn-e-charāġhāñ dosto lekin
kisī muflis ke ghar ko bhī koī TuuTā diyā hotā
ġharībī bhuuk zulm-o-jaur kaise dekh saktā maiñ
ḳhudā.ī bhī na mujh ko raas aatī gar ḳhudā hotā
agar tark-e-talluq kar bhi lete hum to kya hota
kahan mumkin ki dil qaid-e-mohabbat se riha hota
chalo achchha hua tum ne bhi aaKHir dushmani kar li
kahan tak tum se aaKHir dosti ka haq ada hota
ghanimat hai ye dil jaisa bhi hai raunaq hai hasti ki
andhera chha gaya hota agar dil bujh gaya hota
mujhe sahil pe pahunchaya meri KHud e'timadi ne
ye kashti Dub jati sath mein gar naKHuda hota
mubarak ho tumhein jashn-e-charaghan dosto lekin
kisi muflis ke ghar ko bhi koi TuTa diya hota
gharibi bhuk zulm-o-jaur kaise dekh sakta main
KHudai bhi na mujh ko ras aati gar KHuda hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.