agar tum chahte ho ab ki tum se bhi kinara kar liya jae
agar tum chāhte ho ab ki tum se bhī kināra kar liyā jaa.e
gavāra hai magar ḳhud hī kaho kaise gavāra kar liyā jaa.e
mulā.im chāñdnī kitnī bhalī lagtī hai in be-ḳhvāb āñkhoñ ko
ye maanā daaġh hai par chāñd terā isti'āra kar liyā jaa.e
zarā Thahro kise mā'lūm chauthī samt hoñ jangal kī vo āñkheñ
udhar jaanā hai par jaane se pahle istiḳhāra kar liyā jaa.e
lagā kar zaḳhm mere kah rahā hai vo batāo kis kī baarī hai
maza aa jaa.e jo phir apnī hī jānib ishāra kar liyā jaa.e
sunā hai tū is aañsū kī tarah nāzāñ bahut vus'at pe apnī hai
batā ai āsmāñ tujh ko bhī āñkhoñ meñ sharāra kar liyā jaa.e
jahāñ ab ḳhaak uḌtī hai kabhī dariyā-e-mustaqbil thā vo logo
chalo ik baar phir sahrā-e-māzī kā nazāra kar liyā jaa.e
agar tum chahte ho ab ki tum se bhi kinara kar liya jae
gawara hai magar KHud hi kaho kaise gawara kar liya jae
mulaim chandni kitni bhali lagti hai in be-KHwab aankhon ko
ye mana dagh hai par chand tera isti'ara kar liya jae
zara Thahro kise ma'lum chauthi samt hon jangal ki wo aankhen
udhar jaana hai par jaane se pahle istiKHara kar liya jae
laga kar zaKHm mere kah raha hai wo batao kis ki bari hai
maza aa jae jo phir apni hi jaanib ishaara kar liya jae
suna hai tu is aansu ki tarah nazan bahut wus'at pe apni hai
bata ai aasman tujh ko bhi aankhon mein sharara kar liya jae
jahan ab KHak uDti hai kabhi dariya-e-mustaqbil tha wo logo
chalo ek bar phir sahra-e-mazi ka nazara kar liya jae
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 112)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.