agar ye dil machal jaatā hamārā
to saarā jism jal jaatā hamārā
nazar bhar kar tumheñ gar dekh lete
yaqīnan dam nikal jaatā hamārā
to ye kyā tum tab bhī utnā pyaar karte
agar ye husn Dhal jaatā hamārā
kabhī tum saath meñ hote nahīñ to
hameñ bhī saath khal jaatā hamārā
namāz-e-ishq kaise puurī hotī
agar qibla badal jaatā hamārā
atā kar dete tum thoḌī jo mohlat
patā ham ko bhī chal jaatā hamārā
manāne kī hameñ karte to koshish
na kaise dil pighal jaatā hamārā
agar ye dil machal jata hamara
to sara jism jal jata hamara
nazar bhar kar tumhein gar dekh lete
yaqinan dam nikal jata hamara
to ye kya tum tab bhi utna pyar karte
agar ye husn Dhal jata hamara
kabhi tum sath mein hote nahin to
hamein bhi sath khal jata hamara
namaz-e-ishq kaise puri hoti
agar qibla badal jata hamara
ata kar dete tum thoDi jo mohlat
pata hum ko bhi chal jata hamara
manane ki hamein karte to koshish
na kaise dil pighal jata hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.