agar ye rah pahle hi se Thahrai nahin hoti
agar ye raah pahle hī se Thahrā.ī nahīñ hotī
safar hotā par aisī ābla-pā.ī nahīñ hotī
dikhā.ī kuchh nahīñ detā sivā.e tang-nazrī ke
basīrat kī zamānat sirf bīnā.ī nahīñ hotī
tujhe to 'ilm hai qāsid par un se muḳhtasar kahnā
ziyāda bolne vāloñ meñ gahrā.ī nahīñ hotī
koī insān apne aap meñ tanhā nahīñ hotā
kisī kī dastaras meñ itnī tanhā.ī nahīñ hotī
bahut se rabt ik-tarfa bhī hote haiñ ta’alluq meñ
barābar 'ishq ke phande meñ gīrā.ī nahīñ hotī
akele meñ mujhe sharmindagī mahsūs hotī hai
na jaane kitne jazboñ se shanāsā.ī nahīñ hotī
agar ye rah pahle hi se Thahrai nahin hoti
safar hota par aisi aabla-pai nahin hoti
dikhai kuchh nahin deta siwae tang-nazri ke
basirat ki zamanat sirf binai nahin hoti
tujhe to 'ilm hai qasid par un se muKHtasar kahna
ziyaada bolne walon mein gahrai nahin hoti
koi insan apne aap mein tanha nahin hota
kisi ki dastaras mein itni tanhai nahin hoti
bahut se rabt ik-tarfa bhi hote hain ta’alluq mein
barabar 'ishq ke phande mein girai nahin hoti
akele mein mujhe sharmindagi mahsus hoti hai
na jaane kitne jazbon se shanasai nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.