agar ye raushni qalb o nazar se aai hai
agar ye raushnī qalb o nazar se aa.ī hai
to phir shabīh-e-sitam-gar kidhar se aa.ī hai
mahak rahā hai badan maañg meñ sitāre haiñ
shab-e-firāq batā kis ke ghar se aa.ī hai
guloñ meñ rañg to ḳhūn-e-jigar se aayā hai
magar ye tāzgī is chashm-e-tar se aa.ī hai
ravish ravish pe kuchh aaise Tahal rahī hai sabā
ki jaise ho ke tirī rahguzar se aa.ī hai
ise tū gosha-e-maḳhsūs meñ sambhāl ke rakh
kiran hai kūcha-e-shams-o-qamar se aa.ī hai
agar ye raushni qalb o nazar se aai hai
to phir shabih-e-sitam-gar kidhar se aai hai
mahak raha hai badan mang mein sitare hain
shab-e-firaq bata kis ke ghar se aai hai
gulon mein rang to KHun-e-jigar se aaya hai
magar ye tazgi is chashm-e-tar se aai hai
rawish rawish pe kuchh aaise Tahal rahi hai saba
ki jaise ho ke teri rahguzar se aai hai
ise tu gosha-e-maKHsus mein sambhaal ke rakh
kiran hai kucha-e-shams-o-qamar se aai hai
- Book : Asaleeb (Pg. 249)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.