agar ye sach hai ujala dikhai deta hai
agar ye sach hai ujālā dikhā.ī detā hai
to kyoñ chaman meñ añdherā dikhā.ī detā hai
vo aa.ina ho ki gul ho ki hoñ mah-o-ḳhurshīd
sabhī meñ aap kā jalvā dikhā.ī detā hai
jise milī na ho saaqī kī mast āñkhoñ se
sharāb pī ke bhī pyāsā dikhā.ī detā hai
manāo jashn ki tārīkī-e-shab-e-ġham meñ
nigār-e-sub.h kā chehrā dikhā.ī detā hai
ilāhī ḳhair mire jazba-e-mohabbat kī
abhī se ḳhvāb meñ sahrā dikhā.ī detā hai
vo gul jo bā’is-e-sad-zīnat-e-gulistāñ haiñ
unhīñ pe ḳhāroñ kā pahrā dikhā.ī detā hai
vo nā-murād-e-azal jis ko ishq kahte haiñ
havas ke shahr meñ tanhā dikhā.ī detā hai
ḳhirad jo dekhe to har samt ik añdherā hai
junūñ ko chāñd sunahrā dikhā.ī detā hai
ham aa.ina bhī jo dekheñ to 'yād' kyā hāsil
hameñ to un kā hī chehrā dikhā.ī detā hai
agar ye sach hai ujala dikhai deta hai
to kyon chaman mein andhera dikhai deta hai
wo aaina ho ki gul ho ki hon mah-o-KHurshid
sabhi mein aap ka jalwa dikhai deta hai
jise mili na ho saqi ki mast aankhon se
sharab pi ke bhi pyasa dikhai deta hai
manao jashn ki tariki-e-shab-e-gham mein
nigar-e-subh ka chehra dikhai deta hai
ilahi KHair mere jazba-e-mohabbat ki
abhi se KHwab mein sahra dikhai deta hai
wo gul jo ba’is-e-sad-zinat-e-gulistan hain
unhin pe KHaron ka pahra dikhai deta hai
wo na-murad-e-azal jis ko ishq kahte hain
hawas ke shahr mein tanha dikhai deta hai
KHirad jo dekhe to har samt ek andhera hai
junun ko chand sunahra dikhai deta hai
hum aaina bhi jo dekhen to 'yaad' kya hasil
hamein to un ka hi chehra dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.