agar zaKHmi na ho to ye jigar achchha nahin lagta
agar zaḳhmī na ho to ye jigar achchhā nahīñ lagtā
baġhair aañsū mohabbat kā safar achchhā nahīñ lagtā
kahāñ hai lauT aa taktī haiñ āñkheñ rāsta terā
tire bin kuchh bhī ai jān-e-jigar achchhā nahīñ lagtā
bhaTak kar saarī duniyā meñ yahīñ par lauT aatā huuñ
tire dar ke sivā koī bhī dar achchhā nahīñ lagtā
savāl-e-ishq par itne bahāne kyoñ banātā hai
tū mujh se saaf kah de maiñ agar achchhā nahīñ lagtā
jidhar dekho udhar hī chāñd se chehre nazar aa.eñ
mujhe tere sivā koī magar achchhā nahīñ lagtā
mujhe tujh se mohabbat hai tirī yādoñ se raġhbat hai
magar ye jāgnā bhī raat bhar achchhā nahīñ lagtā
haiñ apnī jaan se pyārī mujhe ḳhuddāriyāñ apnī
kisī ke sāmne jhuk jaa.e sar achchhā nahīñ lagtā
nahīñ tū saath to ye shahr bhī vīrāna lagtā hai
agar ghar meñ chalā jā.ūñ to ghar achchhā nahīñ lagtā
koī majbūr ho kar hī vatan se duur rahtā hai
nahīñ to kaun hai vo jis ko ghar achchhā nahīñ lagtā
nahīñ hai e'tirāz-e-bandagī lekin mujhe nāseh
jahāñ sar tū jhukātā hai vo dar achchhā nahīñ lagtā
'farāz' ahl-e-suḳhan fan se tire mānūs haiñ lekin
unheñ terā bulandī kā safar achchhā nahīñ lagtā
agar zaKHmi na ho to ye jigar achchha nahin lagta
baghair aansu mohabbat ka safar achchha nahin lagta
kahan hai lauT aa takti hain aankhen rasta tera
tere bin kuchh bhi ai jaan-e-jigar achchha nahin lagta
bhaTak kar sari duniya mein yahin par lauT aata hun
tere dar ke siwa koi bhi dar achchha nahin lagta
sawal-e-ishq par itne bahane kyon banata hai
tu mujh se saf kah de main agar achchha nahin lagta
jidhar dekho udhar hi chand se chehre nazar aaen
mujhe tere siwa koi magar achchha nahin lagta
mujhe tujh se mohabbat hai teri yaadon se raghbat hai
magar ye jagna bhi raat bhar achchha nahin lagta
hain apni jaan se pyari mujhe KHuddariyan apni
kisi ke samne jhuk jae sar achchha nahin lagta
nahin tu sath to ye shahr bhi virana lagta hai
agar ghar mein chala jaun to ghar achchha nahin lagta
koi majbur ho kar hi watan se dur rahta hai
nahin to kaun hai wo jis ko ghar achchha nahin lagta
nahin hai e'tiraaz-e-bandagi lekin mujhe naseh
jahan sar tu jhukata hai wo dar achchha nahin lagta
'faraaz' ahl-e-suKHan fan se tere manus hain lekin
unhen tera bulandi ka safar achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.