agar zara bhi kisi sar ka zikr hota hai
agar zarā bhī kisī sar kā zikr hotā hai
to zor-shor se patthar kā zikr hotā hai
amīr-e-shahr ke tālāb ke kināre par
dabī zabāñ meñ samundar kā zikr hotā hai
jalā ke ek shikasta charāġh-e-nākāmī
tamām raat muqaddar kā zikr hotā hai
vo jis ke sāmne do-chār pal Thahar jaa.e
to āsmān meñ us ghar kā zikr hotā hai
tumhārī bazm meñ jannat kī baat hotī hai
hamārī bazm meñ mahshar kā zikr hotā hai
ġharīb rote haiñ pahle to ḳhālī hāthoñ par
phir us ke baa'd sikandar kā zikr hotā hai
tamām shahr ke darvāze bol uThte haiñ
galī-galī meñ tire dar kā zikr hotā hai
agar zara bhi kisi sar ka zikr hota hai
to zor-shor se patthar ka zikr hota hai
amir-e-shahr ke talab ke kinare par
dabi zaban mein samundar ka zikr hota hai
jala ke ek shikasta charagh-e-nakaami
tamam raat muqaddar ka zikr hota hai
wo jis ke samne do-chaar pal Thahar jae
to aasman mein us ghar ka zikr hota hai
tumhaari bazm mein jannat ki baat hoti hai
hamari bazm mein mahshar ka zikr hota hai
gharib rote hain pahle to KHali hathon par
phir us ke ba'd sikandar ka zikr hota hai
tamam shahr ke darwaze bol uThte hain
gali-gali mein tere dar ka zikr hota hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 91)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.