agarche dost the lekin rifaqaten kam thin
agarche dost the lekin rifāqateñ kam thiiñ
ki ham meñ uns bahut thā mohabbateñ kam thiiñ
gale lagāyā na jī bhar ke dekh paayā use
bichhaḌte vaqt milī thiiñ jo mohlateñ kam thiiñ
vo jis ke haath se gir kar maiñ pāsh-pāsh huā
usī ko TuuTe khilaunoñ kī 'ādateñ kam thiiñ
yahī likhā thā so is baar bhī bichhaḌnā thā
shurū' din se mire haq meñ qismateñ kam thiiñ
tabī'atan to the duniyā ke bādshāh magar
hamāre paas dikhāve kī daulateñ kam thiiñ
agarche dost the lekin rifaqaten kam thin
ki hum mein uns bahut tha mohabbaten kam thin
gale lagaya na ji bhar ke dekh paya use
bichhaDte waqt mili thin jo mohlaten kam thin
wo jis ke hath se gir kar main pash-pash hua
usi ko TuTe khilaunon ki 'adaten kam thin
yahi likha tha so is bar bhi bichhaDna tha
shuru' din se mere haq mein qismaten kam thin
tabi'atan to the duniya ke baadshah magar
hamare pas dikhawe ki daulaten kam thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.