agarche husn kabhi hum pe teri zat khule
agarche husn kabhī ham pe terī zaat khule
hamāre sāmne asrār-e-kā.enāt khule
yaqīnan ek din us par guzar ke dekheñge
kabhī jo arz-e-tamanna kā pul-sirāt khule
na jaane kitne hī dil muntazir khaḌe haiñ yahāñ
laboñ pe us ke dabī hai abhī jo baat khule
ka.ī baras se muqaffal thiiñ ḳhvāhisheñ dil meñ
muḳhātab aap ke ye bāb-e-ḳhvāhishāt khule
koī to puḳhta vasīla ho mere chārāgar
girah diloñ kī khule to na be-sabāt khule
maiñ chāhtā thā ki vo dauḌ kar lipaT jaa.e
kabhī dikhe hī nahīñ us ko mere haath khule
tumhāre husn kī harkat koī na zaa.e' ho
tumhārī zulf mirī chashm saath saath khule
ġhamoñ kī qaid meñ 'āzād' phañs gayā huuñ maiñ
kabhī to kaash koī sūrat-e-najāt khule
agarche husn kabhi hum pe teri zat khule
hamare samne asrar-e-kaenat khule
yaqinan ek din us par guzar ke dekhenge
kabhi jo arz-e-tamanna ka pul-siraat khule
na jaane kitne hi dil muntazir khaDe hain yahan
labon pe us ke dabi hai abhi jo baat khule
kai baras se muqaffal thin KHwahishen dil mein
muKHatab aap ke ye bab-e-KHwahishat khule
koi to puKHta wasila ho mere chaaragar
girah dilon ki khule to na be-sabaat khule
main chahta tha ki wo dauD kar lipaT jae
kabhi dikhe hi nahin us ko mere hath khule
tumhaare husn ki harkat koi na zae' ho
tumhaari zulf meri chashm sath sath khule
ghamon ki qaid mein 'azad' phans gaya hun main
kabhi to kash koi surat-e-najat khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.