agarche ishq mein ek be-KHudi si rahti hai
agarche ishq meñ ik be-ḳhudī sī rahtī hai
magar vo niind bhī jaagī huī sī rahtī hai
vahī to vaj.h-e-ta.āruf hai koī kyā jaane
adā adā meñ jo ik be-ruḳhī sī rahtī hai
baḌī ajiib hai shab-hā-e-ġham kī zulmat bhī
diye jalāo magar tīrgī sī rahtī hai
hazār dard-e-farā.ez haiñ aur dil-e-tanhā
mire ḳhulūs ko sharmindagī sī rahtī hai
'shamīm' ḳhūn-e-jigar se ubhāriye lekin
har ek naqsh meñ koī kamī sī rahtī hai
agarche ishq mein ek be-KHudi si rahti hai
magar wo nind bhi jagi hui si rahti hai
wahi to wajh-e-taaruf hai koi kya jaane
ada ada mein jo ek be-ruKHi si rahti hai
baDi ajib hai shab-ha-e-gham ki zulmat bhi
diye jalao magar tirgi si rahti hai
hazar dard-e-faraez hain aur dil-e-tanha
mere KHulus ko sharmindagi si rahti hai
'shamim' KHun-e-jigar se ubhaariye lekin
har ek naqsh mein koi kami si rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.