agarche jaan ka KHatra nai uDan mein tha
agarche jaan kā ḳhatra na.ī uḌaan meñ thā
parinda phir bhī bahut duur āsmān meñ thā
milī jo manzil-e-imkāñ ba-justujū-e-hazār
ajiib nashsha safar-dar-safar takān meñ thā
usī ne ghar ke charāġhoñ kī lau baḌhā.ī hai
shumār jis kā kabhī nang-e-ḳhāndān meñ thā
maiñ dushmanoñ se har ik lamha thā bahut mohtāt
milegā zaḳhm rafīqoñ se kab gumān meñ thā
maiñ tang aa ke ta.attul se dhuup meñ niklā
sukūn-e-qalb-o-nazar yuuñ to sā.ebān meñ thā
'nasīm' chashm-zadan meñ zamīñ pe aan girā
agarche tīr-e-sitamgar abhī kamān meñ thā
agarche jaan ka KHatra nai uDan mein tha
parinda phir bhi bahut dur aasman mein tha
mili jo manzil-e-imkan ba-justuju-e-hazar
ajib nashsha safar-dar-safar takan mein tha
usi ne ghar ke charaghon ki lau baDhai hai
shumar jis ka kabhi nang-e-KHandan mein tha
main dushmanon se har ek lamha tha bahut mohtat
milega zaKHm rafiqon se kab guman mein tha
main tang aa ke tattul se dhup mein nikla
sukun-e-qalb-o-nazar yun to saeban mein tha
'nasim' chashm-zadan mein zamin pe aan gira
agarche tir-e-sitamgar abhi kaman mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.