agarche KHwabon ke sath hi jal bujhi hun main bhi
agarche ḳhvāboñ ke saath hī jal bujhī huuñ maiñ bhī
magar isī ik malāl kī raushnī huuñ maiñ bhī
phir ek tūfāñ kī āhaTeñ kyā sunī haiñ tum ne
sadā-e-hātif to der se sun rahī huuñ maiñ bhī
maiñ tujh se kyā ḳhauf khā.ūñ itnī ḳhabar hai mujh ko
ki ek kumba hai jis pe likkhī ga.ī huuñ maiñ bhī
ye ahd ab to hazār chehroñ meñ baT chukā hai
so ek chehra liye hue jī rahī huuñ maiñ bhī
har ek apnī hī ḳhvāhishoñ ke hisār meñ hai
so aise ik dā.ere meñ simTī huī huuñ maiñ bhī
hazār rastoñ ke pech-o-ḳham se nazar bachā kar
jahāñ pe tum ho usī taraf chal paḌī huuñ maiñ bhī
suḳhan-varī ke liye mujhe chun liyā gayā hai
to kyā mire dil ma.āl-e-kuza-garī huuñ maiñ bhī
agarche KHwabon ke sath hi jal bujhi hun main bhi
magar isi ek malal ki raushni hun main bhi
phir ek tufan ki aahaTen kya suni hain tum ne
sada-e-hatif to der se sun rahi hun main bhi
main tujh se kya KHauf khaun itni KHabar hai mujh ko
ki ek kumba hai jis pe likkhi gai hun main bhi
ye ahd ab to hazar chehron mein baT chuka hai
so ek chehra liye hue ji rahi hun main bhi
har ek apni hi KHwahishon ke hisar mein hai
so aise ek daere mein simTi hui hun main bhi
hazar raston ke pech-o-KHam se nazar bacha kar
jahan pe tum ho usi taraf chal paDi hun main bhi
suKHan-wari ke liye mujhe chun liya gaya hai
to kya mere dil maal-e-kuza-gari hun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.