agarche main KHat-e-jada pe ek gard-e-safar hun
agarche maiñ ḳhat-e-jāda pe ik gard-e-safar huuñ
khaTaktā huuñ magar phir bhī ki manzil kī ḳhabar huuñ
ye mauj-e-ḳhūñ hai sairābī-e-dil kā ik ishāra
so ik ḳhāk-e-numū-rafta pe hī mahv-e-safar huuñ
ye umr-e-ḳhāk-paimā ik tamannā se bhī kam hai
so kitnī ḳhvāhishoñ se maiñ abhī tak be-ḳhabar huuñ
khule haiñ rañg-e-imkānāt ā.inda ke mujh par
nirālī merī ḳhushbū hai maiñ miTTī kā shajar huuñ
jamāl-e-sā.at-e-sad-rañg ko maiñ sher kar duuñ
maiñ kab se is junūñ-añgez ke zer-e-asar huuñ
tah-e-satar-e-tamannā dekh luuñ dil kā taḌapnā
ziyāda to nahīñ itnā to maiñ sāhib-e-nazar huuñ
agarche main KHat-e-jada pe ek gard-e-safar hun
khaTakta hun magar phir bhi ki manzil ki KHabar hun
ye mauj-e-KHun hai sairabi-e-dil ka ek ishaara
so ek KHak-e-numu-rafta pe hi mahw-e-safar hun
ye umr-e-KHak-paima ek tamanna se bhi kam hai
so kitni KHwahishon se main abhi tak be-KHabar hun
khule hain rang-e-imkanat aainda ke mujh par
nirali meri KHushbu hai main miTTi ka shajar hun
jamal-e-saat-e-sad-rang ko main sher kar dun
main kab se is junun-angez ke zer-e-asar hun
tah-e-satar-e-tamanna dekh lun dil ka taDapna
ziyaada to nahin itna to main sahib-e-nazar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.