agarche maut ko humne gale lagaya nahin
agarche maut ko ham ne gale lagāyā nahīñ
magar hayāt kā ehsān bhī uThāyā nahīñ
nazar ke sāmne ik pal bhī jo nahīñ Thahrā
vo kaun shaḳhs hai dil ne use bhulāyā nahīñ
maiñ apne aap ko kin rāstoñ meñ bhuul aayā
ki zindagī ne bhī merā surāġh paayā nahīñ
maiñ jis ke vāste malbūs-e-harf buntā huuñ
vo ik ḳhayāl abhī zehn meñ bhī aayā nahīñ
hazār ḳhvāhish-e-duniyā hazār ḳhauf-e-ziyāñ
mirī anā kā qadam phir bhī Dagmagāyā nahīñ
hayāt-e-jabr kā sahrā-e-be-karāñ jis meñ
mohabbatoñ ke shajar kā kahīñ bhī saayā nahīñ
zamāna guzrā 'munavvar' udhar se guzrā thā
havā ne naqsh-e-qadam aaj tak miTāyā nahīñ
agarche maut ko hum ne gale lagaya nahin
magar hayat ka ehsan bhi uThaya nahin
nazar ke samne ek pal bhi jo nahin Thahra
wo kaun shaKHs hai dil ne use bhulaya nahin
main apne aap ko kin raston mein bhul aaya
ki zindagi ne bhi mera suragh paya nahin
main jis ke waste malbus-e-harf bunta hun
wo ek KHayal abhi zehn mein bhi aaya nahin
hazar KHwahish-e-duniya hazar KHauf-e-ziyan
meri ana ka qadam phir bhi Dagmagaya nahin
hayat-e-jabr ka sahra-e-be-karan jis mein
mohabbaton ke shajar ka kahin bhi saya nahin
zamana guzra 'munawwar' udhar se guzra tha
hawa ne naqsh-e-qadam aaj tak miTaya nahin
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 38)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.