agarche sab yahan sasta paDega
agarche sab yahāñ sastā paḌegā
tumheñ bas ishq hī mahñgā paḌegā
musavvir se ulajhne kī sazā hai
hameñ tasvīr meñ rahnā paḌegā
mirī āñkhoñ meñ tum bach kar utarnā
yahāñ ashkoñ kā ik dariyā paḌegā
sabhī kirdār gar rakhne haiñ zinda
kahānī meñ hameñ marnā paḌegā
tumheñ bhī achchhe ham lagne lage haiñ
suno tum ko bhī pachhtānā paḌegā
ghaḌī sach bolne kī aa ga.ī hai
hameñ dānista haklānā paḌegā
charas se bachne ko tum kah rahe ho
yaqīnan ishq se bachnā paḌegā
agarche sab yahan sasta paDega
tumhein bas ishq hi mahnga paDega
musawwir se ulajhne ki saza hai
hamein taswir mein rahna paDega
meri aankhon mein tum bach kar utarna
yahan ashkon ka ek dariya paDega
sabhi kirdar gar rakhne hain zinda
kahani mein hamein marna paDega
tumhein bhi achchhe hum lagne lage hain
suno tum ko bhi pachhtana paDega
ghaDi sach bolne ki aa gai hai
hamein danista haklana paDega
charas se bachne ko tum kah rahe ho
yaqinan ishq se bachna paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.