Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agarche tere karam ka koi shumar nahin

Mustafa Adeeb

agarche tere karam ka koi shumar nahin

Mustafa Adeeb

MORE BYMustafa Adeeb

    agarche tere karam koī shumār nahīñ

    magar ye jabr mujhe ḳhud pe iḳhtiyār nahīñ

    hudūd-e-vaqt se bāhar nikal ke dekh liyā

    kahāñ kahāñ tirī qudrat tirā hisār nahīñ

    maiñ ek zarra sahī merī haisiyat mā'lūm

    maiñ aadmī to huuñ uḌtā hue ġhubār nahīñ

    sabhī ke bazm-e-tarab meñ shumār naam magar

    pa merā naam kisī naam meñ shumār nahīñ

    ye lag rahā hai mujhe rang-o-bū ke ziine par

    maiñ jis bahār meñ huuñ ye koī bahār nahīñ

    kisī ne phir se girā hai ye dar-o-dīvār

    uTho 'adīb' yahāñ aur intizār nahīñ

    agarche tere karam ka koi shumar nahin

    magar ye jabr mujhe KHud pe iKHtiyar nahin

    hudud-e-waqt se bahar nikal ke dekh liya

    kahan kahan teri qudrat tera hisar nahin

    main ek zarra sahi meri haisiyat ma'lum

    main aadmi to hun uDta hue ghubar nahin

    sabhi ke bazm-e-tarab mein shumar nam magar

    pa mera nam kisi nam mein shumar nahin

    ye lag raha hai mujhe rang-o-bu ke zine par

    main jis bahaar mein hun ye koi bahaar nahin

    kisi ne phir se gira di hai ye dar-o-diwar

    uTho 'adib' yahan aur intizar nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now